- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jis Aourat ne is haal me inteqaal kiya ke uska shuhar us se raazi tha to wo Jannat me dakhil hoga.
(Jame Tirmizi,hadith no:1161)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Yaqinan Jannat 3 logon ki mushtaq hai:
1) (Hazrath) ALI (raziallahu taala anhu)
2) (Hazrath Ammaar (raziallahu taala anhu)
3) (Hazrath ) SALMAN (raziallahu taala anhu)(Jame Tirmizi, hadith no:4166)
- 2 Ghut ALLAH TAALA ko bahot pasand hai:
Ek Gusse ka aur Dusra Sabar ka..
- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Namaz ke liye uthne wala har qadam sadqe ke barabar hai.
(Sahih Bukhari,Hadith no:2891)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Beshak Sadqa Rab ke gazab ko Thanda karta hai aur Bure khatime se bachata hai.
(Jame Tirmizi,hadith no:666)
- Neik logon ke saath rehne wala kabhi nakaam wo namuraad nahi hota hai.
(Hazrath sheik Shahaab uddin seharwardi rahmatullah alaih)
- ALLAH TAALA ka irshaad hai:
Aur meri rahmat har cheez ko gehri hui hai to mai use zaroor unke haq me likhdunga jo parhezgari ikhtiyaar karte hain.
(Surah Al Aaraaf:156)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Allah Taala kisi cheez ko aise pyar aur mohabbat se nahi sunta jitna ke wo us bande ki awaaz ko jo khush Ilhani ke saath Quraan e kareem padhe.
(Sahih Muslim,hadith no:1839)