NAMAZ se apni zindagi me tabdili lao

namaz

NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Agar tum me se koi shakhs ye malum hojaye ke apne bhai ki Namaz ke aage se guzarne se usko kitna Azaab hoga to wo 100 saal tak khada rahe to ye uske liye us namazi shakhs ke aage chalne se Behtar hai.

(Sunan e Ibne Majah,hadith no:946)

  • Jab tum apni zindagi ko behtar banane ke liye tabdili lana chahte ho aur shuruwat kaha se kare samjh na aaye to sab se pehle NAMAZ se apni zindagi me tabdili lao baaqi sab kam Durust honge….Namaz
  • Har dushmani ke baad Mohabbat ki umeed ki jasakti hai siwaye us dushmani ke jiski bunyaad Hasad par ho.(Hazrath Imaam Shafai rahmatullah alaih)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Safen durust rakho aur milkar khade raho, kyun ke yaqinan Main tumhe pit ke piche se bhi dekhta ho.

    (Sahih Bukhari, hadith no:718)

  • Jo ALLAH TAALA ki taraf sacche dil se ruju hota hai to Allah Taala uski madad farmata hai.(Hazrath Hasan basri rahmatullah alaih)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Mujh par kasrat se Durood padho Beshak tumhara Durood padhna tumhare liye gunahou ki maghfirat hai.

    (Al Jame Al Saghir,hadith no:1406)

    Sajda

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *