- Sab se badi khushi ye hai ke ALLAH hum se raazi aur khush hojaye…
- kisi se badla lene me jaldi na karo aur kisi ke saath neki karne me der na karo.
(Hazrath Shaqeeq balqi rahmtullah alaih)
- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
ALLAH TAALA khush haal rakhe us shakhs ko jo hamari koi hadees sune aur use dusron tak puhanchaye.
(Sunan e Ibne Maajah,Hadith no:238)
- Tahajjud bandon par ALLAH TAALA ki badi Nemat hai.
- Neik logon ka zikar karne se gunah maaf hote hain.
(Kanzul Ummal,Hadith no:12685)
- Jise Dekhni ho Jannat wo NABI ke dar se guzre,
Wo jidhar jidhar se Guzre ye Udhar Udhar se guzre.Jise Dekhne ho Jalwe Karam e Shah e Umam ke,
wo Madina Tayyaba ki Kisi Rah Guzar se guzre. - HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo shakhs achi tarah wuZu kare to uske jism se, yaha tak ke nakhono ke niche se bhi gunah nikal jate hain.
(Sahih Muslim,Hadith No:486)
- Jahan tak hosake bure guman se bacho ye ache rishton ko kharaab kardeta hai.
- Khairaat Afzal taren Ibadat hai.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- Hazrath Ali raziallahu taala anhu farmate hain:
Main ne HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam se pehle aur baad aapki tarah kisi ko na dekha.
(Shamail e Tirmizi,pg:2)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
Qayamat ke din Logon me se Mere sab se zyada qareeb wo shakhs hoga jo Duniya me sab se zyada Mujh par Durood Bhejhta hai.
(Jame Tirmizi,hadith no:483)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Meri ummat ke Rahem dil logon se apni muraden mango, aur unke qareeb raha karo, kyun ke meri rehmat unhi me hai, aur sang dil logou se muraden na mango, kyun ke wo meri narazgi ke muntazir hai.
(Kanzul Ummal, hadith no:16802)