Neik logon ke saath rehne wala

Neik logon ke saath rehne wala
  • HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne HASSAN AUR HUSSAIN Raziallahu taala anhuma ke liye farmaya :Jisne inse Mohabbat ki usse Main ne Mohabbat ki , aur jis se Main Mohabbat karo usse ALLAH TAALA Mohabbat karta hai , aur jisko ALLAH TAALA Mahboob rakhta hai use Nematon wali Jannaton me Dakhil farmata hai.(Al Moujamul Kabeer , hadith no :2655)
  • Koi shakhs aisa nahi hai ke Jisne buri cheez ko choda ho aur use Achi cheez na mili ho.(Hazrath Khawja Nizam Uddin Aowliya rahmatullah alaih)
  • Neik logon ke saath rehne wala kabhi nakaam wo namuraad nahi hota hai.(Hazrath sheik Shahaab uddin seharwardi rahmatullah alaih)

Alhamdulillah

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
    Jo shakhs aisi namaz padhta hai ke jisme Mujh par aur Meri Aal par DUROOD na padhe uski Namaz Qubool nahi ki jati.(Sunan e Daare qutni , hadith no : 1359)
  • Jiski zaat se maqlooq ko faida phunche wahi ALLAH ko pyara hai.(Hazrath sheik Abdul Qader Jilani raziallahu taala anhu)
  • HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TA’LA khush haal rakhe us shakhs ko jo hamari koi hadees sune aur use dusron tak puhanchaye.(Sunan e Ibne Maajah,Hadith no:238)
  • Dua ek aisa khubsurat amal hai jisme maangne wala apni pareshaniyan aur mushkilat ALLAH TA’LA ke hawale kardeta hai.
  • Hazrath Khalid bin walid raziallahu ta’la anhu farmate hai:NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne jo Umra farmaya tha to mai ne bhi aapke saath Umra karne ka sharf paaya,Aap sallallahu alahi wasallam ne apna sar e mubarak mundwaya to tamam sahaba ekraam aapke mu e mubarak hasil karne ke liye piche the,

    Main HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke Mu e Mubarak lene me kaamiyaab hogaya,

    Main NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ke mu e mubarak apni topi ke agle hisse me rakh liiya,

    Uske baad main jis jang par bhi bhaijha gaya Mujhe Kamiyabi naseeb hui.

    (Musnad Abu Yaala,Hadith no:7178)

  • 3 Cheezon me Halawat (yane Mithas ) Talash karo:
    1) Namaz
    2) Zikar
    3) Tilawat e Quraan e kareem.

    (Hazrath Syeduna Imaam Hasan Raziallahu taala anhu)

     

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *