- ALLAH ki yaad hi wo cheez hai jis se dil’on ko sukoon naseeb hota hai !
- HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Ache Aqlaaq ek behtaren Neki hai.
(Sahih Muslim)
- ALLAH TAALA ne Apni Ita’at karne walon ko marne ke baad bhi zinda rakha hua hai,(Hazrath Amar bin Usman rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Meri ummat ke Rahem dil logon se apni muraden mango, aur unke qareeb raha karo, kyun ke meri rehmat unhi me hai, aur sang dil logon se muraden na mango, kyun ke wo meri narazgi ke muntazir hai.
(Kanzul Ummal, hadith no:16802)
- kisi se badla lene me jaldi na karo hosakta hai ke use apni galti ka ehsaas hojaye aur kisi ke saath neki karne me der na karo.(Hazrath Shaqeeq balqi rahmtullah alaih)
- ALLAH TA’LA ke nazdeek behtarien naam ABDULLAH aur ABDUL RAHMAN hai.(Sahih Muslim)
- Hazrath Syeduna Hassan bin Sabit Raziallahu Taala Anhu farmate hain:YA RASOOLALLAH! ﷺ Aap jaisa Haseen meri Aankh ne kabhi nahi dekha aur Aap jaisa Husn o jamaal wala kisi khatoon ko tawallud hi nahi hua,
Aap har Aaib o Alaesh se paak paida kiye gaye goya Aap ko is shaan ke saath paida kiya gaya Jaisa Aap chahte the…..
- Hazrath Abu Huraira raziallahu taala anhu farmate hain:Main ne HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ki baargah e Aqdas me arz kiya:
Aye ALLAH ke RASOOL Sallallahu alaihi wasallam ! Jab main aapki ziyarat se musharraf hota ho (to tamaam gham bhool jata ho) Dil khushi se Jhoom uthta hai Aankhen Thandi hojati hai.
(Musnad e Ahmed)
- Aur ALLAH bahot bade FAZAL wala hai.(Surah Al Juma:4)
- Jisne 10 martaba Surah e Ikhlaas padha, ALLAH TA’LA Jannat me uske liye ek mahel banata hai.(Musnad Imaam Ahmed)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Khane aur pine par shukar adaa karne wale ka darja Roza rakh kar sabar karne wale ki tarah hai.
(Sahih BUkhari,Hadith no:1427)
- Tauba karne walon ki suhbat me baitho kyun ke wo sab se zyada narm dil hote hain.
- Apne aqlaq ko phool jaisa banalo, paas baithne wala kuch hasil na bhi kare to khushboo to hasil karle.(Hazrath Sheik Saadi rahmatullah alaih)
- Nemat ka milna bhi azmaish hai ke tum shukar adaa karoge ya nahi.
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam se Aouliya Allah ke bare me pucha gaya to Aap ne Irshaad farmaya:Wo log jinhe dekhne se ALLAH yaad aajaye.(wo aouliya Allah hain).
(Sunan e Nasai,hadith no:11235)
- Jab banda ALLAH TA’LA ki ita’at karta hai to ALLAH TA’LA usse Mohabbat karta hai, aur jab ALLAH TA’LA us se Mohabbat farmata hai to use apni maqlooq ke paas bhi mahboob banadeta hai.(Hazrath Abu Darda raziallahu ta’la anhu)
- HUZOOR NABI KAREEM Sallallahu alaihi wasllam ko Aourtou me sab se zyada mohabbat KHATOON E JANNAT HAZRATH SYEDA FATIMA Raziallahu ta’la anha se hai,Aur Mardon me sab se AMERUL MOMINEN HAZRATH SYEDUNA ALI Raziallahu ta’la anhu sab se zyada mahboob hai.
(Jame TIrmizi,Hadith no:3868)
- 3 Aise Khushnaseeb hain jo Qayamat ke din Arsh ke saye ke niche honge, jis din siwaye Arsh ke saye ke koi saya na hoga.
Arz kiya gaya;YA RASOOLALLAH ! Sallallahu alaihi wasallam wo kaoun honge?Aap Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
1) JIsne kisi mere Ummati ki takleef ko dur kiya,
2) Jisne meri sunnat ko zinda kiya,
3) AUR JISNE MUJH PAR KASRAT SE DUROOD BHEJHA(Al Qawl ul Badee,pg:232)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TA’LA irshaad farmata hai:
Jo log meri azmat aur jalaal ki wajeh se aapas me mohabbat rakhte hain,
qayamat ke din unke liye aise noor ke member honge,
jin par ambiya aur shuhada bhi rashk karenge.
(Jame Tirmizi,Hadith no:2390)
- Hazrath Saad Raziallahu Taala Anhu HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat me hazir hue aur arz kiya:YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam sab se afzal sadqa kauna hai:
Aap sallallahu Alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Paani Pilana.(Sunan e Abu Dawood,Hadith no:1679)