- ALLAH Jise chahta hai apni rehmat ke liye chunleta hai aur wo bada fazal farmane wala hai.(Surah Al Baqarah:105)
- Pareshani kamosh rehne se kam hojati hai, Sabar karne se khatam hojati hai aur shukar karne se khushi me badal jati hai.
- ALLAH TAALA apne bandon ko unke Imaan ke mutabiq musibaton me daalta hai.(Hazrath Sheik Abdul Qader jilaani raziallahu taala anhu)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab tum namaz e janaza padhlo to uske liye khuloos e dil se Dua kiya karo.
(Sunan e Abu Dawood,Hadith NO:3199)
- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:” Agar do bande ALLAH TAALA ke liye ek dusre se mohabbat kare aur ek mashriq me aur dusra maghrib me bhi ho to ALLAH TAALA qayamat ke din unhe zaroor milayega aur farmayega :
ye hai wo (shakhs) jis se tum meri khatir Mohabbat kiya karte the.
(Shubul Imaan Fil Baihaqi,Hadith No:9022)