Peer ke Din ka Roza

Hadith
  • HUZOOR NABI E AKRAM Sallallahu alaihiwasallam se peer (monday) ke din roza rakhne ke baare me daryaafth kiya gaya to HUZOOR Sallallahu alaihiwasallam ne Irshaad farmaya:

    Isi din Meri wilaadat hui aur isi din mujh par wahi nazil hui.

    (Sahih Muslim,Hadith No:1162)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Khabardar! Duniya ke baare me jo kuch Main janta ho, agar tum bhi janloge to tumhe kabhi duniya me sukoon naseeb nahi hoga.

    (Mustadrak, hadith no:6640)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Apne bhai se muskurakar milne aur achi batou ka hukum dene aur bure kamou se rokne ka sawaab sadqe ke barabar hai.

    (Jame Tirmizi, hadith no:1956)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Gussa shaitan ke asar se hota hai, shaitan aagh se paida hua hai, aur aagh paani se bujhayi jati hai, lehaza jab tum me se kisi ko gussa aaye to use wuzu kar lena chahye.

    (Sunan e Abu Dawood, hadith no:4786)

  • Insaan ko achi sonch pe wo inaam milta hai jo ache amaal pe bhi nahi milta kyun ke sonch me dikhawa nahi hota.

    (Hazrath Ali raziallahu taala anhu)

  • Hazrath Imaam shafai rahmatullah alaih farmate hain:

    Jab log tumhe musibat me tanha chodhde to Samjh lo ke ALLAH TAALA chahta hai ke wo tumhare maamle ko Apne Zimme lele aur wo tumhari madad ke liye kaafi hai.

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *