* Mazloom ki baddua se bacho. Wah Allah se apna haq magega. Allah paak kisi haq wale ka haq maaf nahi karega (BAYEHKI SHARIF)
* Jo aadmi koi aisi cheez (kisi ki koi ayesi burai) dekhe jisse chupana chahiye (usse zaheer karke jalil hone-karne se bachaye) uska ayeb chupa liya to goya usne zinda gadi hui bachchi ko kabar se nikal kar dubara jinda kardiya. (TIRMIZI SHARIF)
* Hafte mai do baar peer aur jumeraat ko bande ke amal darbare Elahi mai pesh kiye jate hai. Allah paak apne fazal se logo ko bakhsh deta hai lekin bhai se dushmani rakhne wale ki bakhshish nahi hoti jab tak ki wah apne gila-shikwa dur karke apni dushmani khatam na kare.
* Kisi Muslman Ko Kafir Na Kaho.
Hadees: Ibn Umar (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam)Ne Farmaya –“Jo Shakhs Apney (Musalman) Bhai Ko Kafir Keh Kar Pukare To Dono Me Se Ek Par Kufr Aa Jayega Agar Wo Shakhs Jisko Usney Pukara Wo Kafir Hai To Khair(Kufr Uss Par Rahega)Warna Pukarney Waley Par Laut Aayega”.
* Hadith: Teen aadmi agar Jamaat se namaaz na padhe to un par Shaitan musallat ho jata hai Abu darda Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmayateen Aadmi kisi basti ya jungal mein ho aur phir bhi wo Jamaat se namaz na padhe to un par Shaitan musallat ho jata hai isliye tum jamaat ko lazim kar lo kyun ki bhediya usi bakri ko khata hai ko galle se alag ho jaye Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 542-Hasan