Qayamat ke din

True wealth is the happiness of the spirit
  • Ibadat Insaan ko ALLAH TAALA se Milane ka sabab hoti hai.(Hazrath Mujaddide alfe saani rahmatullah alaih)
  • Hum nahi jante ke hamare liye kis cheez me bhalayi aur khair hai, magar hum is baat par yaqeen rakhte hain ke ALLAH TAALA hame wahi cheez ataa farmayega jo hamare haq me behtar hai..
  • Tum har insaan ke saath neki hi karo chahe wo tumhare saath koi neki na kare.(Hazrath Imaam e Azam rahmatullahi taala alaih)
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jisne Subah (yane fajar ) ki namaz adaa ki wo ALLAH TAALA ki Hifazat me hai.

    (Sahih Muslim,hadith no:1493)

  • Jitna acha sulook neki tum dusron se saath karoge usi qadar badla tumhe bhi milega.
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Sadqa ALLAH TAALA ke Gazab ko thanda karta hai aur buri mout se Mahfooz rakhta hai.

    (Sahih Muslim,hadith no:263)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Qayamat ke din har maaldar aur ghareeb aadmi ye tamanna karega ke kaash usko duniya me sirf guzara karne ki rozi dijati.

    (Sunan e Ibne Majah,hadith no:4140)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Tum apne musalman bhai se jhagda mat karo, aur na us se aisa mazaq karo jo jhagde ka sabab bane,

    Aur na usse aisa wada karo jisko tum pura na karsako.

    (Jame Tirmizi,hadith no:1995)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *