Qayamat ke din ALLAH TAALA

  • HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne Hajar e Aswad ke baare me farmaya:

ALLAH TAALA KI QASAM! Qayamat ke din ALLAH TAALA use 2 Aankhen ataa farmayega jinse ye dekhega aur Ek Zaban Ataa farmayega jis se ye bolega aur har us shakhs ke baare me gawahi dega jisne Halat e Imaan me Usko Bosa diya.

(Jame Tirmizi, Hadith no:971)

  • 3 tarah ke log Jinhe Allah Qayamat ke din Dekhega bhi nahi

    Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya 3 tarah ke log wo hongey jinki taraf Qayamat ke din Allah Taala nazar bhi nahi uthayega aur na unhey paak karega bulki unkey liye dardnaak azab hoga.

    1. Wo shaksh jiskey paas raastey mein jarurat se jiyada paani ho aur usney kisi musaafir ko uskey istaimaal se rok diya.
    2. Wo shaksh jo kisi haakim se bait sirf duniya ke liye karey ki agar wo haakim usey kuch de to wo raazi rahey warna khafa ho jaye.
    3. Wo shakhsh jo apna (bechney ka) saaman asar ke baad lekar khada hua aur kahney laga ki us Allah ki kasam jiskey siwa koi sachcha maabud nahi, mujhe is saaman ki qeemat itni itni mil rahi thi us par ek shakhsh ne usey sahi samjha (aur us saman ko kharid liya).
    {Sahih Bukhari, 2358}

  • Huzoor (صلى الله عليه وسلم ) ne irshad farmaya:

Allah Tala ke kuch farishte aise hain jo sirf Majalis e Zikar ki Talash mein rehte hain. (Sahih Muslim)

  • Aakhirat ke liye behtarien cheez neki aur taqwa hai. (Hazrath Syeduna Imaam Husain Raziallahu Tala anhu)
  • NABI E KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jis shakhs ne ALLAH TA’LA se 3 baar jannat mangi, jannat uske liye dua karne lagti hai AYE ALLAH ise Jannat me dakhil karde,aur jo shakhs dozaq se 3 baar panah mangta hai dozaq uske liye dua karne lagti hai AYE ALLAH ise dozaq se bacha..

    (Jame Tirmizi,Hadith no:2378)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *