Qayamat ke din Suraj logon ke bahot

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

Qayamat ke din Suraj logon ke bahot kareeb aajayega yaha tak ke pasina aadhe kaano tak pahonch jayega,

Log Is halat me (pehle) Hazrath Adam alaihissalaam se madad maangne jayenge phir Hazrath Mosa Alaihissalaam se phir bil aakhir HAZRATH MOHAMMED MUSTAFA AHMED E MUJTABA Sallallahu alaihi wasallam se Madad maangenge.

(Sahih Bukhari,hadith no:1405)

  • Wo ghar jisme ALLAH TAALA ka zikr kiya jaye wo aasman walou ke liye is tarah roushan hote hain jaise zameen walou ke liye Sitare Roushan hote hain
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Houz e Kaousar ke bartan sitarou ke barabar honge, usse jo bhi ek ghont piyega to hamesha ke liye uski piyaas bujh jayegi.(Sunan e Ibne Majah,hadith no:4303)
  • Gussa aapko logon ki nazron me chota banadeta hai, aur Maaf karne ki aadat Aapko uncha kardeti hai…

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *