- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Qayamat ke din Suraj logon ke bahut qareeb aajayega yaha tak ke pasina aadhe kano tak pahunch jayega, Log Is halat me (pehle) Hazrath Adam alaihissalaam se madad maangne jayenge phir Hazrath Mosa Alaihissalaam se phir bil aakhir HAZRATH MOHAMMED MUSTAFA AHMED E MUJTABA Sallallahu alaihi wasallam se Madad maangenge.(Sahih Bukhari,hadith no:1405)
- NABI E KAREEM sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jo din me 50 martaba mujh par Durood padhega Qayamat ke din Main usse Musafaha karunga….
(Al Qawl ul Badee,pg:261)
- Sab Namazon ki hifazat kiya karo, aur khaas taur pe darmiyani namaz (yane Asar) ki, Aur ALLAH TAALA ke saamne Sarapa Adab wo niyaz ban kar qiyam kiya karo.(Surah Al Baqarah:238)
- Raat ko sote waqt sonchna chahye ke aaj kitne neik kaam kiye.(Hazrath Ali Ahmed Sabri rahmatullah alaih)
- Jo shakhs kasrat se ALLAH TAALA ka zikar karta hai ALLAH TAALA use apna Mahboob banalete hain.
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA Farmata hai:
Jo mere zikr me masroof rehne ki wajeh se mujh se maang na saka, Main use maangne walon se zyada ataa karonga.
(Hilyatul Aowliya,pg:313)