- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Apne bhai se muskurakar milne aur achi baton ka hukum dene aur bure kamon se rokne ka sawaab sadqe ke barabar hai.
(Jame Tirmizi, hadith no:1956) - Qayamat ke din un logonĀ ka hisaab asaan hoga jo aaj duniya me ALLAH TAALA ki Raza ke liye apna muhasaba karte hai.
(Hazrath Hasan basri rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
ALLAH TAALA ke khouf se momin ki aankh se nikalne wala anso uske liye duniya aur uski har cheez se behtar hai aur ek saal ki ibadat se behtar hai.
(Hilyatul Awliya,hadith no:11748)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo meri ummat me bigadh ke waqt meri sunnat ko mazboti se thame rakhega uske liye ek shahed ka sawaab hai.
(Tabrani Kabeer,hadith no:5572)