- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
Quraan shareef ki tilawat kiya karo , isliye ke Qayamat ke din apne padhne wale ki shafa’at karega.
(Sahih Muslim , hadith no :1874)
- Namaz ALLAH TAALA ke Qurb ka zarya hai.
(Majmauz’zawaid, hadith no:17710)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam se jab bhi koi cheez maangi jaati to Aap ne Kabhi “NA ” nahi farmaya.
(Sahih Muslim,vol:1,pg:253)
- Maqlooq ki qidmat karna duniya ki sab se badi neki hai…
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jisne apni jawani ALLAH ke raaste me guzardi to Qayamat ke din uske liye ek Noor hoga.
(Sunan e Nasai,hadith no:3144)