Quran aur Hadees Ki Baatein

Quran aur hadees ki baatein

1. Quran

Kya tumhe nahi pata ke aasmano aur zameen ki badshahi Allah ki hi hai aur Allah ke siwa tumhara koi bhi himayati aur madad karne wala nahi hai.
(para-2, sureh-Al-bakra, ayet no. 106)

2. Quran

Jo log iman laye, aur hizrat ki aur Allah ki rah me apne maal aur apni jano se jihad kiya Allah ke liye (unke liye) bada darza hai. Aur wahi hai jo murad (Qamiyabi hasil) wale hain. (Para-10, sureh-at-tawba, ayet no-20)

3. Quran

Jo koi akhirat ki kheti chahata hoga, ham usse uski kheti mai badhotri (Barkat) karege. Aur jo koi duniya ki kheti chahata hoga, usse usmai se dege aur uska akhirat mai koi hissa nahi. (para – 25, sureh – As-sura, ayet no – 20)

Hadees :

Nu’man bin Bashir(R.A.) se riwayat hai ki Rasoolullah(S.A.W.) ne farmaya: “Qayamat ke din Jahannami logon me sabse kam azaab paane waala wo shakhs hoga jiske dono pairon ke neeche aag ke angaare rakh diye jaayenge, jis ki wajah se us ka dimaag haandi ki tarah khaulega.
Sahih Al-Bukhari(Hadees No.6562)

Hazrat ALI (RaziAllahu Ta’ala Anhu) Irshad Farmate Hain:

“Hamesha Apni Chhoti- Chhoti Galtiyon Se Bachne Ki Koshish Karo Kiyun Ki Insan Pahaadon Se Nahi Chhote Pat’thron Se Thokar Khata Hai”

Related Link:
Quran Ki Baatein

Comments

comments

41 thoughts on “Quran aur Hadees Ki Baatein

  1. Assalaamu alay kum,
    Mujhe ye janna hai k kahi quraan shareef me hai kya. K dua k waqt hame kisi ka wasila lagana cahiye??? Ya kisi buzurgo ka sadqa lagana cahiye. Plz rly

    1. Walekumassalaam,

      Haan Dua ke waqt wasila diya jasakta tha, Wasta aur Waseela de kar dua Mangna jayez hai

    1. Assalaam alaikum,

      Deoband ek bada sa shehar hai, zaroori nahi hai ke har ek deobandi is tarah ki soonch rakta hoo. Agar koi deobandi Imam jiske A-Qa-Ed main gadbad ho toh uske peeche namaz nahi hogi. Agar Imam durust A-Qa-Ed wale hai Ahle Sunnatul Jamaat jaise toh Namaz beshak padsakte hai.

      Kuch aur jankari chahiye toh please let us know.

      Allah hafiz
      Jazak-Allah.

    1. Walekumsalam,

      Imaam ke liye ek mooch daadhi shart hai ( Complete one fist in length ).

      Jazak Allah
      Ahlesunnatuljamaat.com

  2. Asslaamoalaikum
    Mera sawal hai ki main kisi se bepnah mohabbat karti hoon Mera rishta 6 Saal se hai unse or ab bhi wo apni Maa ki marzi na hone k bawajood Mujhse door bhi nhi ho pate to Ap mujhe Koi Duaaein bataein jisko padne se Unki ma hamare rishte k liye razi ho jaein or Ap bhi ALLAH se hamare liye dua karein..

    1. Walekum as salam,
      Salat ul Hajaat do rakat ek salam se padhe or Allah subhnao tala se dua kare ke Allah apke liye jo sahi hai usse aasan kare.
      or YA WADUDU ka bhi zikr kasrat se kare ke Allah apke liye aasani kare… Insha Allah.

  3. assalam walkum mera naam malka h or m kisise mohbbat karti hu nikkah krna chahti but unki shadi horhi kuchdin bad m kiya kru kuch smjh nhi arha ap dua kr dijye meri shadi jameel s hojye

    1. Quraan main Surah Talaq Hai, Jismein Allah Taala ne hum Insanau ko Nasiyat di hai aur Bataya Hai Talaq ke Baare main.
      Teen Talaq dene se Talaq toh hojati lekin aisa dean Makroh hai…

      The ruling in the light of the Hadith is that if any person says the word, “Talaq,” then the intention is not considered, as the word “Talaq” is used only for separation between the couple. It has got no other usage and sense. Thus, if the husband used the word “Talaq,” without any intention, even then divorce occurs. As given in Sunan Abu Dawood, Vol. 1, Pg No. 298, Hadith No: 1875:

      Translation: It is narrated on the authority of Hadhrat Abu Hurairah (May Allah be well pleased with him) that the Holy Prophet (Sallallahu alaihi wa sallam) said: There are 3 things in which seriousness is also seriousness and joking is also seriousness: Nikah (Marriage), Talaq, Raja’at (i.e. uniting after the first revocable divorce).

      And Allah Most High knows best.

      JazakAllah

  4. Asslamoalaykum mera suwal yah ki kisi ghair Muslim ne (Allah toba astagfar) mujhse yah kaha ki tumhari khatna hoti he to tum musalman hotel he to ladki hone ki surat me kya krte ho kya wo Muslim nhi hoti ….??

    1. Waalaikum Salaam, agar koi aisa kehta hai toh app yeh kahe unse ke Khatna Karwana hamare yahan sunnat hai Mard Hazraa’t ke liye, Aurtau ke liye aise koi shart nahi hai. Woh paidaish se hi muslimah hoti hai. Alhamdulillah… Let me know if you need more clarity

    1. Beshaak hojata hai!

      The ruling in the light of the Hadith is that if any person says the word, “Talaq,” then the intention is not considered, as the word “Talaq” is used only for separation between the couple. It has got no other usage and sense. Thus, if the husband used the word “Talaq,” without any intention, even then divorce occurs. As given in Sunan Abu Dawood, Vol. 1, Pg No. 298, Hadith No: 1875:

      Translation: It is narrated on the authority of Hadhrat Abu Hurairah (May Allah be well pleased with him) that the Holy Prophet (Sallallahu alaihi wa sallam) said: There are 3 things in which seriousness is also seriousness and joking is also seriousness: Nikah (Marriage), Talaq, Raja’at (i.e. uniting after the first revocable divorce).

      And Allah Most High knows best.

    1. Beshak Hojata hai!

  5. Assalamoaleikum..,,
    Hm mazak me Ek larki ko kehte h Qubul hai Qubul hai Qubul hai
    Or Ye Bht baar kiye hai
    To Isme kuch ghalat Hojata hai kya??

  6. assalamualaykum mera naam sana hai mere husband bahrain me hai do saal ya phir teen saal dur rehte hi mai nai rehsakriun unn ka busness abhi set hua mai nai rehsakriun mere husband kya karun aur dur rehne ki wajah se bahut ladayan horen done k beech aap iss ka hal batayi allah se dua bhi karriun kuch wazifen bhi padhriun per rukawaten bahut aaren unn se dur rehna bhi mushkill hora

    1. Assalaam alaikum,

      Please follow the answer for your question. InshaAllah Allah Rabbul Izzat ka Karam Hoga, apni Niyat aur Guman behtar rakkar yeh Surah Padein…

      Agar App chate hain ke aapke Shauhar aapko unke paas bulalein, toh app rozana Surah Fatah ki Tilawat karein InshaAllah Allah aur Aaqa Sawar-E-Koinain ke Sadqe se karam hoga.

      Aur Ya phir app sirf yahin rahkar Apne Shauhar aur app ke mamle ko Mohabbat bhara banana chati hai toh Surah Qauf jo 26ve pare main hai, usse har Roz ek baar kisi bhi waqt is niyat ke saath Tilawat Karein, InshaAllah Allah aur Aaqa Sawar-E-Koinain ke Sadqe se karam hoga!

      Allah Appke aur Tamam ke mamlau ko Aaqa Sallalahu Alaih Wa Sallam ke Sadqe Ba Barkaat wala karein, Ameen Ya Rabbul Aalameen.

      Dua ki Guzarish…

      JazakAllah –
      Ahle Sunnat Ul Jamaat – Team

  7. Assalamu alaikum i have two questions
    Can a muslim girl do marriage with a muslim guy with parents permission and
    Is it ryt in islam that khan can marry shaikh
    Coz we have seen telling people ki shaikh chote hote hain khan se?

  8. Assalamualaikum.
    Mera Sawalha a hi ke
    Hum log jo bhi kaam karte hi usme achanak dusra kaam rukawat jaisa aajata hi fir sub kaaam adjure rahejate hi. Iska koi wazifa bataye.
    Allahafeez

    1. Waalaikum Salaam,
      Please recite “Astagfirullah” as much as you could.
      We will InshaAllah share other Wazaif as well.

      JazakAllah Team Ahlesunnatuljamaat.com

  9. Assalamualaikum mera sawal ye hai ki meri kamar me kabhi kabhi bahut Dard hota isliye mujhe KY karna chahiye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *