- NABI E KAREEM Sallallahu Alaihi wasallam ne Irshaad farmaya:Raat ko ek aisi ghadi (Waqt) bhi aati hai jis me koi musalmaan Allah Taala se dunya wo aakhirat ki koi bhi bhalayi maange to Allah Taala use wo ataa farmata hai aur ye ghadi har raat aati hai.
(Sahih Muslim,Hadith No:757)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA ke khouf se momin ki aankh se nikalne wala anso uske liye duniya aur uski har cheez se behtar hai aur ek saal ki ibadat se behtar hai.
(Hilyatul Awliya,hadith no:11748)
- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:” Agar do bande ALLAH TAALA ke liye ek dusre se mohabbat kare aur ek mashriq me aur dusra maghrib me bhi ho to ALLAH TAALA qayamat ke din unhe zaroor milayega aur farmayega :
ye hai wo (shakhs) jis se tum meri khatir Mohabbat kiya karte the.
(Shubul Imaan Fil Baihaqi,Hadith No:9022)
- Nafs par sab se zyada mushkil kaam shari’at aur neki par pabandi karna hai.(Hazrath Imaam Rabbani mujaddide Alfe saani rahmatullah alaih)
- Hadith/Benefit
Abu Hurairah (R.A) it is reported from the Messenger of Allah (S.A.W) said whoever follow this Tasweeh, will have his sins forgiven, even if they were like the foam on the sea.
[Muslim no. 597]