- Jo shakhs Raat ko wuzu karke soye to ek farishta uske saath raat guzarta hai aur jab bhi wo shakhs bedaar hota hai to wo farishta dua karta hai:Aye ALLAH apne flan bande ko baqshde.
(Sahih Ibne Hibban,vol,3,pg:328)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jab ALLAH TAALA kisi bande ko koi nemat ataa farmaye aur wo us par ” ALHAMDULILLAH ” kahe, to jo usne hasil kiya us se bhi behtar diya jayega.
(Sunan e Ibne Majah,hadith no:3805)
- Hazrat Anas raziallahu taala anhu farmate hai:
“Jab NABI KAREEM Sallallahu Alaihi Wasallam fajr ki namaz se farig hote to Madine ke log bartano me pani lekar aate aur HUZOOR Sallallahu Alaihi
Wasallam barkat ke liye un me apna haath mubarak dalte”.
(Sahih Muslim, vol:2, Pg no:256)
- Agar Koi tumse Nasihat maange to use sahih aur Muqlis mashwaro do.
(Hazrath Abu Bakar Siddiq raziallahu taala anhu)