Ramazan Mein Itikaf

Etekaaf Mein Kya Karen aur Kya Na Karen

Image result for Ramzan Mein Itikaf

Etekaaf / Itikaf Kya Hai ?

Masjid mein ibadat ki niyat se rukna etekaaf kehlata hai.

Ramazan Mein Itikaf/Etekaaf:
Ramzan mein 21vi (21st)  raat se lekar chand raat tak masjid mein etekaaf kiya jata hai. Is beech masjid se bahar nahi aa sakte. Etekaaf ka example aisa hai jaise koi insan kisi ko manane ke liye uske dar par baith jata hai, padh jata hai, aisa karne se sakht dil insan bhi pighal jata hai, usi tarah etekaaf karne wala masjid mein Allah ke dar par padh jata hai, taaki Allah usko maaf kar de, aur Allah ki rahmat to insan ko maaf karne ke bahane hi dhundti hai.

Itikaf in Ramzan

Etekaaf mein bethne ke baad sirf bahut zaruri kaam jaise wuzu, ghusl, toilet wagerah ke liye hi masjid se bahar (masjid ke baramde) mein aa sakte hain, aur haajat puri karke foran masjid mein chale jana chahiye, inke alawa kisi dusre kaam se bahar nahi nikalna chahiye, jisne aesa kiya uska etekaaf toot jaega aur usko iski kaza rakhna padhegi. Etekaaf mein jo saath bethe hain unse bhi fizul baaten na karen.

Aajkal dekhne mein aya hai ke kam umar ke ladke bhi etekaaf mein beth jaate hain, ye acchi baat hai lekin kisi umar daraz insan ko un par command rakhna chahiye, kyonke chhote bacche masti zyada karte hain, aur etekaaf ki baato ka dhyan nahi rakhte.

Etekaaf mein bethne ke baad khoob ibadat karen, kaza-e-umri namaz padhen (agar ho to), quran sharif ki tilawat karen, nafil namazen padhen, Khoob Dua karen, Allah ka zikr karen, islam sikhen aur sikhaen.

Allah hum sabko etekaaf mein bethne wala bana de. Aameen.

Itikaf ki fazilat:

1.  Itikaf Rasool Mohammed Sallalla hu alaihi wassalaam ki sunnat hai, Aap Sallalla hu alaihi wassalaam ietkaf ka khoob ehtmaam farmate hai

2.  Rasool Mohammed Sallalla hu alaihi wassalaam ne ek din ke itekaf ke bare mein farmaya ke jo shaks Allah Tala ki khushnudi ke liye ek din ka itekaf karega, Allah Taala us ke aur jahanum ke darmiyan teen khundiq hail kardenega, jin ki musafat asman wo zameen ke fasle se bhi ziyada hogi

3. Rasool Mohammed Sallalla hu alaihi wassalaam ne irshad farmaya ke jo shaks khalus niyat se bagair riya aur bala khawish sherat ek din ka ietkaf kar lega, to us ko hazaron raaton ki shab bedari ka sawab milega aur us ke aur dozak ke darmiyan ka faasla panch sao saal/ 500  baras ki rah hoga.

4. Rasool Mohammed Sallalla hu alaihi wassalaam ne farmaya ke jo shaks masjid mein magrib se le kar Isha tak matakaf rahe, namaz aur quran pak ki tilawat ke siwa kalam na kare to Allah Ta’ala par lazim hai ke apne karam se us matakaf ke liye jannat mein mahal tayyar kare.

5.Rasool Mohammed Sallalla hu alaihi wassalaam ne farmaya ke jo shaks ramzan shareef mein ek din aur ek raat itekaf kare to us ko teen sao (300) shaheedon ka sawab milega.

Etekaaf Mein Bethne Ka Sawab

Ramzan ka etekaaf –

Ramzan mein aakhri raato, 21vi raat se lekar chaand raat tak masjid mein rahna etekaaf kehlata hai. Iska bahut sawab hai.

(1) Etekaaf mein bethne wala Allah ka mehmaan ban jata hai, socho Mezbaan agar Allah hai to apne mehmaan par kitni rahmat aur barkat farmaega.
(2) Etekaaf Mein Bethna hazrat Muhammad (sallallau alyhiwasallam) ki sunnat hai, etekaaf mein bethne se sunnat ka sawab bhi milta hai
(3) Etekaaf mein bethne se humko shab-e-qadr (ramzan mein jaagne waali raat) bhi mil jaati hai, is raat ka sawab 1000 mahino (84 saal) se bhi badhkar hai.
(4) Etekaaf mein bethe wala ibadat to karta hi hai lekin uska letna, bethna, khana-peena bhi sawab mein likha jata hai.
(5) Etekaaf mein bethne se insan duniya se door ho jata hai, isliye yaha Allah ke nazdeek hona aasana hai.
(6) Etekaaf Mein betha insan masjid se bahar nahi nikal sakta, aese mein masjid ke bahar waale sawab ke kaam mein hissa nahi le paata, jese beemar ko dekhne jana, kisi ki mayyat mein shaamil hona, logo ki madad karna wagerah, lekin etekaaf mein bethne walo ko aese kaamo ka bhi sawab milta rahta hai,

Click here : Itikaf in Islam

(7) Jo insan Allah ke liye ek din bhi etekaaf mein bethta hai Allah uske aur dozakh ke beech 3 khaiyan kar deta hai, jiske beech ki duri aasman aur zameen ki duri se bhi zyada hai, jab ek din ka itna sawab hai to 10 din bethne par kitna hoga.
(8) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya jo 10 din etekaam mein beththa hai usko 2 haj aur 2 umra ka sawab milta hai.

Ramzan Mein Itikaf ki fazilat

Aurat bhi apne ghar ke kone mein Itikaf ki niyat karke beth sakti hain.
Bhaiyo banho, hum kahi tourist place ya shadi mein jaane ke liye 10 din ki leave le lete hain, to kya itne faida ke dino ke liye nahi le sakte, isme Itikaf mein bethne ka sawab alag, shab-e-qadr mil jaaegi wo alag, yaani sawab hi sawab.
ladki/aurat apne ghar ke kisi paak kone mein Itikaf ki niyat se beth jaae, phir wo wahi khae, wahi soe, kisi dusre se bina zarurat baat na kare, bahut zaruri kaam ho to baat kare, toilet/bathroom ya wuzu karne ke liye hi apni jagah se uthe. mehmaan bhi aae to kisi se faaltu baat na kare. bas Allah ki ibadat karti rahe.

Etekaaf ke liye 20 roze ko asar ke baad se beth jaaen. aur chaand dikhne ke baad hi uthen. Agar koi ladki/aruat apne ghar par Itikaf mein bethti hai to usko bhi mardo ke masjid mein bethne ke barabar hi sawab milta hai.
Allah hum sabko Itikaf mein bethne wala bana de. Aameen.

 itikaf in the last ten days of Ramadan

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *