Hamare liye zaroori hai ke Mahe Ramazan ke peshe nazar BAARGAH E ILAAHI me Touba wo Istighfaar karte hue iska Isteqbaal karen,
In Azmath wo Sadaat wale Lamhon ko Ghanimat samjhe uske Fuyuz o Barakaat hasil karien,
Aur Aouqaat ko Ibadat wo Riyazat aur Neik kaam karne me sarf karien,
Tilawat e QURAAN E MAJID ka khoob Ehtemaam karen ,
Mutaleqa Afraad ke Huqooq adaa karen , Mamlaat ko saaf suthra karen,
ZAKAAT adaa karke gharibon ko RAMAZAN ki Ibadat ke liye Farigh hojane ka mouqa faraham karen.