Ramzan Kareem daily Hadith
Ist Ramadan:
Huzoor ﷺ ne kaha jo shaks Ramdan ka roza baghair kisi wajah ke chod de,us roze ka sawab saal bhar roze rakhne per bhi nahi milega.(Tirmidhi: 655)
2nd Ramadan:
Jo Shaks Ramadan ke Roze Khalis Allah ke liye pure yaqeen ke saath rakhe uske pichle saare gunah maaf kardiye jate hain(BUKHARI:1905). 449
3rd Ramadan:
Hazrat Anas (R.A) farmate hein ke RasoolAllah ﷺ ne farmaya hai sehri kiya karo isliye ke sehri karne mein barkat hai(HADEES BUKHARI: 1789).
4th Ramadan:
Rasoolullah ﷺ ne farmaya ke: Ramadan ke mahine ke aate hi Allah(S.W.T) arsh ke uthane wale farishton ko hukm dete hain ke tasbeeh karna rokde aur rozedaronke liye maghfirat ki dua mange(Kanzul Ummal:23716).
5thRamadan:
Allah (S.W.T) farmate hai ke roza hiek aisi ibadat hai jo mere khatir ki jati hai aur mai khud uska badla doonga.(NASAIEE:1187).
6th Ramadan:
Huzoor (S.A.W) ne farmaya ke woh roza, roza hi nahin hota, jisme logon ka gosht khaya jaye (gheebat ki jaaye) (HADEES: MUSANNAF IBN-E-ABE SHAIBA:8982).
7th Ramadan:
Huzoor(SAW) ne farmaya hai ke jub tum me se koi bhi roze me bhool kar kuch khale ya peele to aisi surat mein roza mukammil karle isliye ke bhool se khaya huwa khana ya peena Allah ki taraf se tha (BUKHARI:6176)