- Jo shakhs ALLAH TAALA ki Raza ke liye ek din Etekaaf karta hai ALLAH TAALA uske aur Dozaq ke darmiyan 3 khandaqon ka faasla kardeta hai, har khandaq mashriq se maghrib ke darmiyani faasle se zyada lambi hai.
(Al Moujamul Aousat,Hadith No:7326)
- Ummul Momineen Hazrath AYESHA SIDDIQA Raziallahu taala anha farmati hain:
Jab Ramzan ka Aakhri Ashra Aata to HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam pehle se zyada Ehtemaam farmate, Raat bhar Ibadat farmate aur apne Ahle khana ko bedaar karte.
(Sahih Bukhari,Hadith no:2024)
- Duniya ke fikro gham se dil me taariki paida hoti hai, aur Aakhirat ki fikar se dil me roushni ka zuhoor hota hai.
(Hazrath Usman e ghani raziallahu taala anhu)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Ramzan me 4 chezon ki kasrat karo!
Inme 2 chezen aisi hain jinke zarye Tum apne Rab ko Razi karsakte ho!
Aur 2 chezen aisi hai jinke bagair tumhare liye koi chara nahi,
Ab rahi wo 2 chezen jinke zarye tum Apne Rab ko Razi karsakte ho! kalima e Tayyaba :
Laa ilaha Illallahu Muhammadur Rasoolullah ka wird karna, aur ALLAH TAALA se maghfirat Talab karna,
Ab rahi wo 2 chezen jinke bagair tumhare liye koi chara nahi,wo ye hain: Tum ALLAH TAALA se Jannat ka Sawaal karte raho, aur Dozaq ke Azaab se ALLAH ki panah Mango! ”
(Shubul Imaan,hadith no:3544)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Roza aur Quraan Qayamat ke din banda e momin ke liye Shafa’at karenge,
Roza Arz karega:
AYE ALLAH! Din ek waqt main ne usko khane aur khaheshaat se roke rakha pas iske haq me Meri shafa’at qubool farma,Aur Quraan arz karega main ne Raat ko ise jagaye rakha pas iske haq me Meri Shafa’at Qubool farma,
pas dono ki shafa’at Qubool karlijayegi.
(Shubul Imaan,Hadith No:1994)