- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
FATIMA to bas mere jigar ka gosha hai, unhe Takleef dene wali cheez MUJHE takleef deti hai.(Sahih Muslim, hadith no:2449) - Jab banda apne Rab ke liye Taqwa Ikhtiyaar karta hai,To ALLAH TA’LA use aur Hidayaton ki taraf rehnumayi farmata hai.
- Hazrath Abdullah bin Abbas raziallahu taala anhuma ne farmaya:Jab Mahe Ramzan Shuru hota to HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam har qaidi ko Aazaad kardete aur har Mangne wale ko ataa farmate.(Shubul Imaan ,Hadith no :3475)
- Hazrath Abu Abdur Rahman Raziallahu taala anhu HAZRATH SYEDUNA ALI MURTUZA Raziallahu taala anhu se Riwayat karte hai:Hazrath ALI raziallahu taala anhu ne Maah e Ramzan me HUFFAAZ EKRAAM ko bulwaya aur unme se ek saheb ko hukum farmaya ke 20 Rakaat Taraweeh padhayen.(Baihaqi ,Hadith no:4620)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne hazrath SYEDA FATIMA raziallahu ta’la anha se irshaad farmaya :Beshak ALLAH TA’LA tumhari Naraazgi par Naraaz hota hai aur Tumhari Raza par Razi hota hai.(Al Moujamul kabeer ,hadith no:1001)
- ALLAH TA’LA ne KHATOON E JANNAT HAZRATH SYEDA FATIMA Raziallahu ta’la anha ko Taqwa wo Taharat ki Nemat wo Iffat wo Ismat ki Muqaddas chadar ataa farmayi,Aur Qayamat tak Aane wali Khawateen ke liye Aapko Namona banaya, Aapki Sirat Khawateen e Ummat ke liye Mash’ale Rah hai.
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Ramzan me apna kharch badhado, kyun ke is mahine me kharch karna ALLAH ki rah me kharch karne ki tarah hai.(Kanzul Ummal)
- Hazrath Umar Bin Khattab Raziallahu taala anhu ke zamane me log 23 Rakaat (20 Rakaat Taraweeh aur 3 Rakaat witar ) padhte the.(Muwatta Imaam Malik, Hadith No:251)
- Jise ye pasand ho ke ALLAH TAALA use Qayamat me Jahannam se Mahfooz rakhe to use Bandagane Khuda par RAHEM karna chahye.(Hazrath Abu Bakar Siddiq Raziallahu taala anhu)
- ALLAH TA’LA KA IRSHAAD HAI:Aye Imaan walo ! Tum par Roze farz kiye gaye,Jaisa ke Tum se pehle logou par farz kiye gaye the,Taake Tum Parhezgaar banjou!(Surah Al Baqarah :183)
- Hazrath Abdullah bin Abbas Raziallahu ta’la anhuma se riwayat hai :NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Mahe RAMAZAN me 20 RAKAAT TARAWEEH AUR WITR Adaa farmaya karte the.(Musannaf Ibne Abi Shaiba ,Hadith no:7774)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Aur wo (Ramzan ) Sabar ka mahina hai aur Sabar ka sawaab Jannat hai aur ghamkhari ka mahina hai, Ye aisa mahina hai jisme Momin ka Rizq Badha diya jata hai.(Baihaqi Shubul Imaan ,hadith no:3455)
- Yaqinan ALLAH TAALA Mahe Ramazan ki Pehli Raat is Qible ko manne wale Tamaam Ahle Imaan ki Maghfirat farmadeta hai, HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam irshaad farmate waqt Apne Dast e Mubarak se Qible ki janib Ishara farmaya.(Sahih Ibne Khuzaima,hadith no :1778)
- ALLAH TAALA Ka irshaad hai:Hum baar baar AAPKE chehre Anwar ka Aasmaan ki taraf uthna Dekh rahe hain , Hum AAPKO us Qible ki taraf Mutawajjeh karte hain Jisko AAP PASAND farmate hai.(Surah Al Baqarah,144)
- Ajizi, Bandagi aur beqarari ke Siwa ALLAH TAALA ki baargah me koi cheez kaam nahi aati..(Moulana Rumi Rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Qayamat ke din mere sab se zyada qareeb wo honge jo kasrat se mujh par Durood o Salaam pesh karte hain.(Jame Tirmizi,vol:1,pg:110).
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Pehle salaam karne wala takabbur se bari hota hai.(Shubul Imaan,hadith no:8786)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya:”Jo shakhs mujh par Juma ke din aur Juma ki raat Durood Padhe ALLAH TAALA uski 100 Hajaten Puri farmata hai, 70 Aakhirat ki aur 30 Dunya ki,phir ALLAH TAALA uske liye ek farishta muqarrar kar deta hai jo ke mere rouze me Durood istarah pesh karta hai Jis tarah Tumhe Hadye pesh kiye jate hain,
wo Mujhe us shakhs ke naam wo nasab ki uske Khandaan ke saath khabar deta hai, pas Main Use Apne Paas Safaid Sahife me Sabt karleta ho.”
(Shubul Imaan,hadith no:3035).
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA ke 99 Naam e mubarak hai, jis shakhs ne inhe yaad karliya, wo Jannat me dakhil hoga.(Sahih Bukhari)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne Apne Sahaba ko Khushkhabri sunate hue Irshaad farmaya:Tumhare paas MAHE RAMAZAN ki AAMAD AAMAD hai, ye ek Barkat wala mahina hai, ALLAH TAALA ne tum par iske roze farz kiye hain,Isme Jannat ke Darwaze khole jate hain, dozaq ke darwaze band kiye jate hain, shaitan ko qaid kiya jata hai, Is mahine me ek RAAT hai, Jo HAZAAR MAHINOU se Behtar hai, jo shakhs us raat ki Bhalayi se Mahroom raha to Haqiqat me wo Mahroom Rehgaya..
(Musnad Imaam Ahmed ,Hadith no :9227)
- 3 Cheezon me Mithas Talash karo:1) Namaz
2) Zikar
3) Tilawat e Quraan e kareem.(Hazrath Syeduna Hasan Raziallahu taala anhu)
- SYEDA E KAYENAAT HAZRATH FATIMA Raziallahu ta’la anha ki wiladat e Mubaraka Elaan e Nabuwwat ke pehle saal hui,
aur ek riwayat ke mutabiq Elaan e Nabuwwat se 5 saal pehle Aapki Wildat Babarkat hui,Hijrat ke 2 saal baad Aapka Aqde Nikah Moulaye Kayenaat Hazrath ALI MURTUZA Raziallahu taala anhu se hua,
Jin se aapko 3 Sahebzadiyan aur 3 Sahebzade Tawullud hue,HAZRATH SYEDA FATIMA Raziallahu ta’la anha ka wisaal e Mubarak NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ke Wisaal e Aqdas ke 6 Mahine baad 3 Ramzan ul Mubarak 11 Hijri me hua,
aur Aapka Mazaar e Shareef Jannat ul Baaqi me hai.