- NABI E KAREEM (صلی اللہ علیہ وسلم) ne irshaad farmaya:ALLAH TAALA aur uske farishte Sehri khane walon par apni rehmatien nazil farmate hain.
(Musnad Imaam Ahmed,Hadith no:11102)
- NABI E KAREEM (صلی اللہ علیہ وسلم) ne irshaad farmaya:Jisne Bhool kar khaya piya wo roza na tode ye rizq hai jo ALLAH TAALA ne use ataa farmaya.
(Jame Tirmizi ,Hadith No:721)
- Jisne Rozadaar ka roza iftaar karaya uske liye uske barabar sawaab hai, Rozadaar ke sawaab me kuch kami hue bagair…(Jame Tirmizi ,hadith no:807)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :Roza Dhaal hai, Jab tak ke usko phada na jaye. (Yane jhoot, ghibat, wagaira se use kharaab na kiya jaye ).
(Sunan e Nasai )
- wo shakhs bada hi badnaseeb hai jis ne RAMZAN ka mahina paaya likin uski baqshish na hui, agar uski is (maghfirat ) ke mahine me bhi baqshish na hui to phir kab hogi ?(Al Moujamul Aousat)
- HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam Ramzan ul Mubarak ke mahine me Sehri ke liye Bulate to Aap yu Irshaad farmate :Subah ke Mubarak Khane ke liye Aaou..
(Sunan e Nasai , Hadith no: 2163)