Hazrath Anas Radiallahu anhu Riwayat Farmate hain ke Main ne HUZOOR-E-AKRAM ﷺ Ki 10 Saal Khidmat ki Aur Huzoor ﷺ Ne Mujhe Kabhi Oof Tak Nahi Farmaya,
Aur Mere Kiye Par Ye Kabhi Nahi Farmaya ke Tumne Aisa Kyun Kiya,
Aur Main Ne Koi Kaam Na Kiya To Ye Na Farmaya ke Tumne Ise Kyun Nahi Kiya,
Aur Hazrath Rasool-e-paak sallallahu alaihi wasallam logoun Mein Sabse Behtareen Akhlaaq Wale hain.
(Jame Tirmizi,Hadees no:2147)
Durood e Ibrahim :
* Beshak ALLAH Aur uske farishte NABI E AKRAM ﷺ par Durood Bhaijhte hain ,Aye Imaan walo ! Tum bhi un par Durood bhaijho aur khoob Salaam paish karo.
(Surah Al Ahzaab:56)
Durood E Shareef :
* HUZOOR NABI E AKRAM ﷺ ne irshaad farmaya:
Qayamat ke din Mere sab se zyada qareeb wo honge jo kasrat se mujh par Durood o Salaam paish karte hai.
(Jame Tirmizi,Hadith No:486)
Related Link:
How to learn durood shareef
Mawlid an Nabi