Roza sirf mere liye hai aur main hi uska badla deta hu

ramadan iftar
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Dua faida puhnchati hai aur un balaon ko talaati hai jo nazil hochukhi hai aur un balaon ko bhi jo abhi nazil nahi hui, isliye Tum log Duaon ka Ehtemaam kiya karo.

    (Mustadrak,hadith no:1815)

  • 5 Raten aisi hain jinme dua rad nahi ki jati:

    1) Juma ki raat
    2) Rajab ki pehli raat
    3) 15 Shaban ki raat
    4) EID UL FITAR KI RAAT
    5) Eid ul Azha ki raat.

    (Musannaf Abdul Razzaq,vol:4,pg:317)

  • Banda e Momin ka Roza us waqt tak Aasman wo zameen ke darmiyan muallaq rehta hai jab tak ke wo sadqa e fitar adaa na kare.

    (Kanzul Ummal,hadith no:24130)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jo koi EIDEN KI RATON me ALLAH TAALA se sawaab ki umeed karte hue Ibadat kiya uska dil us din nahi marega jab ke dusre dil murda hojainge.

    (Sunan e Ibne Majah,pg:127)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    ALLAH TAALA ne farmaya:

    Bani Aadam ka har amal usi ke liye hai siwaye roze ke, Roza sirf mere liye hai aur main hi uska badla deta hu…

    (Sahih BUkhari,Hadith nO;1805)

    ramzan hadis

  • HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jibreel Alaihissalaam mere paas hazir hue aur arz kiye:

    Jis shakhs ne Mahe Ramazan paaya aur uski maghfirat na hosaki to wo aagh me gaya , use ALLAH TAALA apni Rahmat se dur karde , ( Aye Habeeb e Khuda ! ) Aap Ameen kahe,

    Is par Main ne Ameen kaha..

    (Ibne Hibban,Hadith No:907)

    Fasting

  • HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Main ne Tum me aisi cheez chodi ke jab tak tum use Mazbooti se pakde rahoge mere baad hargis gumrah na honge,

    ALLAH ki kitaab Quraan e Majid aur Meri Bait aur Meri Sunnat.

    (Jame Tirmizi,hadith no:4155)

     

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *