- Neik logon ki suhbat ikhtiyaar karo kyun ke suhbat me bada asar hota hai.
- ALLAH ki maqlooq ke saath Neki karne se jis qadar shukar guzari hoti hai wo aur kisi surat me mumkin nahi.(Hazrath Ali Raziallahu taala anhu)
- Allah ki Qasam! Allah Ta’ala apne mahboob bande ko dozakh me nahi daalta.(Mustadarak ‘Alas Sahihain, Hadith No. 7455)
- Jo Neik Amal duniya me jitna mushkil hoga, Qayamat ke din Amal ke Tarazo me utna hi wazni hoga.(Hazrath Ibrahim bin Adham rahmatullah alaih)
- Insaan ka dil khush karna aur uski dil joui aur rahat rasani Afzal tareen amal aur ALLAH TAALA ke Taqarrub ka behtaren zariya hai.(Hazrath Khwaja Nizaam uddin Aouliya rahmatullah alaih).
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Aye logo! Beshak main tum ko 2 Azeem nematen dekar jaraha ho, jab tak tum unhe thaame rahoge hargis gumrah na hoge,wo Kitaab ul ALLAH aur Meri Itrat “AHLE BAIT” hain. (Subhaan Allah)
(Jame Tirmizi,Hadith no:4155)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Sab se ziyada namaz ka sawaab us Shakhs ko milega jo zyada paidal chal kar aaye phir us shakhs ko milega jo zyada dur se chal kar aaye.(Sahih Bukhari,hadith no:651).
- Teen Aise Khushnaseeb hain jo Qayamat ke din Arsh ke saye ke niche honge, jis din siwaye Arsh ke saye ke koi saya na hoga.1) Jisne kisi mere Ummati ki takleef ko dur kiya,
2) Jisne meri sunnat ko zinda kiya,
3) AUR JISNE MUJH PAR KASRAT SE DUROOD BHEJHA.(Subhaan Allah)(Al Qawl ul Badee,pg:232)
Hazrath Imaam shafai rahmatullah alaih farmate hain:
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam par Durood e Shareef padhna har halat me pasand karta ho magar Juma ke din aur Juma ki raat ko bahut zyada pasand karta ho.