- Aur (AYE HABEEB Sallallahu alaihi wasallam!) Aap un logon ko khushkhabri sunadijiye!Jo Imaan laaye aur Neik Amal karte rahe ke unke liye (Jannat ke ) Baghaat hain jinke niche nehren behti hain.(Surah Al Baqarah:25)
- Aye Imaan walo! Sabar aur Namaz ke zarye madad liya karo beshak ALLAH sabar karne walou ke saath hai.(Surah Baqarah:53)
- HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Ache Aqlaaq ek behtaren Neki hai.(Sahih Muslim)
- ALLAH TAALA ne Apni Ita’at karne walou ko marne ke baad bhi zinda rakha hua hai,Aur Gunahgaron ko unki zindagi me hi murda bana diya hai.(Hazrath Shaqeeq Balqi rahmatullah alaih)
- ALLAH TA’LA ke Ehkaam par Sabit Qadam rehna aur uski Azmaish ko khanda paishani aur sukoon ke saath qubool karna Sabar hai.(Hazrath Amar bin Usman rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne hazrath Abdullah bin khabeeb raziallahu taala anhu se farmaya:Tum rozana subah shaam 3 martaba surah ikhlaas aur surah falaq aur surah Naas padha karo, ye surten har nuqsaan dene wali cheez se tumhari hifazat ka zarya honge.(Jame Tirmizi,hadith no:3575)
- Raat ko sote waqt sonchna chahye ke aaj kitne neik kaam kiye.(Hazrath Ali Ahmed Sabri rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Kya mai tumhe tumhari bimari aur dawa na batlado?SUNLO! Tumhari bimari gunah hain, aur tumhari dawa ISTIGHFAAR Hai.
(Baihaqi)