- Jab Insaan dard me hota hai tab wo sab se zyada apne Rab ke Qareeb hota hai…
- Aur ALLAH ki raah me kharch karo aur apne hi haton se khud ko halakat me na daalo, aur neki ikhteyaar karo, beshak ALLAH neik logon se Mohabbat farmata hai,
(Surah Al Baqarah:195)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Ahle Jannat ke sar par aise Taj honge jinka chote se chota moti bhi Mashriq wo maghrib ke darmiyan ki chizou ko roushan kardega.
(Jame Tirmizi,Hadith no:2562)
- Sabar ek aisi sawari hai jo kabhi thokar nahi khati.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- Sabar ka Imaan me Wahi maqaam hai jo Sar ka Jism me hai.
(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
- Sadqa wo Khairaat Rizq me barkat ka zariya hai…
- Jo Shakhs kisi Nemat par ALLAH TAALA ka Shukar adaa nahi karta to wo us Nemat ke zawaal ko dawat deraha hota hai.
(Hazrath Haris rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu aliahi wasallam ne irshaad farmaya:
Behtaren shakhs wo hai jo ALLAH TAALA se darta hai aur logon ko apne shar se mahfooz rakhta hai.
(Sahih Bukhari)