Sabar ka daman haath se na chodo

hadith sabar
  • ALLAH TAALA ka irshaad hai:

    Aur meri rahmat har cheez ko gehri hui hai to mai use zaroor unke haq me likhdunga jo parhezgari ikhtiyaar karte hain.

    (Surah Al Aaraaf:156)

  • Sabar ka daman haath se na chodo, Har kaam aasaan hone se pehle mushkil hota hai.

    (Hazrath Shiek saadi rahmatullah alaih)

  • Mehmaan ke liye zyada kharch karo, Kyun ke ye israaf me se nahi.

    (Ummul Mominen Hazrath Ayesha Siddiqa Raziallahu taala anha)

  • Allah ki Qasam! Allah Ta’ala apne mahboob bande ko dozakh me nahi daalta.

    (Mustadarak ‘Alas Sahihain, Hadith No. 7455)

  • Na Unke Jaisa Saqi hai koi Na Unke Jaisa Ghani hai koi,
    Wo Benawa’ou ko Har Jagah se Nawazte hain Bula Bula kar…

    (Sallallahu alaihi wala Aalihi wa Sahbihi wasallam)

  • Allah Ta’la ne tumhein jo kuch diya hai uspar raazi raho, kisi ke mohtaj na rahoge.

    (Jame’ Tirmidhi, Hadith No. 2475)

  • Beshak tumhaara ghar waalon, aulad aur khadimon par kharch karna bhi neki hai.

    (Mustadarak ‘Alas Sahihain, Hadith No. 3073)

  • Hazrath Abu Huraira raziallahu taala anhu ne farmaya:

    RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ne Mujh se irshaad farmaya:

    Aye Abu Huraira! Logon ko Quraan sikhate raho aur sikhte raho,

    Kyun ke isi haal me agar tumhe Maut aajaye to Farishte tumhari qabar ki is tarah ziyarat karinge jaise Kabatullah shareef ki ziyarat ki jati hai.

    (Kanzul Ummal,hadith no:29377)

     

     

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *