- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Jab log majlis e zikar me baith kar ALLAH TA’LA ka zikar karke uthte hain to unhe kaha jata hai:
Khade hojao! ALLAH ne tumhare gunah baqsh diye hain, Tumhare gunah nekiyon me badal diye gaye hain.
(Shubul Imaan,Hadith no:695)
- Har cheez ka ek husn hota hai aur Neki ka husn ye hai ke wo jald ki jaye.(Hazrath Umar e Farooq raziallahu taala anhu)
- Har cheez ka ek husn hota hai aur Neki ka husn ye hai ke wo jald ki jaye.(Hazrath Umar e Farooq raziallahu taala anhu)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Sabar karna ALLAH TALA se RAZI hona hai.
(Kanzul Ummal)
- Agar tum ALLAH ki nematou ko ginna chahoge to gin nahi sakte, Haqiqat ye hai ke wo bada hi darguzar karne wala aur Reham farmane wala hai.(Surah Al Nahal)
- Jab koi kisi shakhs se mohabbat karta hai to uski gaeb me uske haq me dua kare,Is tarah se karna uski mohabbat ko aur bhi zyada khubsurat aur paak o saaf kardeta hai aur ye cheez use ALLAH TA’LA ke qurb me puhanchati hai…
-
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
ALLAH TA’LA ko wo amal bahut pasand hai jisko karne wala hamesha pabandi se kare.
(Sahih Bukhari,vol:1,pg:12)