Bade se bade gunah ke baad jab banda Nadamat aur Touba ke saath ALLAH TAALA ke Saamne Haath phailata hai to ALLAH TAALA bande ko Maaf farmadeta hai…- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Meri ummat ke Rahem dil logon se apni muraden mango, aur unke qareeb raha karo, kyun ke meri rehmat unhi me hai, aur sang dil logon se muraden na mango, kyun ke wo meri narazgi ke muntazir hai.
(Kanzul Ummal, hadith no:16802)
- Jise uska ilm haraam chezon se na roke wo nuqsaan me hai.
(Hazrath Imaam e Azam abu Hanifa rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Ibne Aadam ki jo ghadi bhi ALLAH TAALA ke zikar se khali guzar gayi wo qayamat ke din hasrat wo afsoos ka sabab hogi.
(Al Jame Al Sagher,hadith no:8045)
- Sabar karne wale hamesha kamiyaab hote hain isliye tumhe chahye ke sabar karen.
(Hazrath khawaja Usman haroni rahmatullah alaih)