- Hazrath Imaam e Shafai Rahmatullah alaih se Pucha gaya :
ALLAH TAALA ke nazdeek halat e Ataa wo Khushhali pasandida hai ya Halat e Musibat wo Bala ?
Aap ne farmaya :
Musibat ke baad hi Ataa wo Khushhali milti hai.
To Jo koi Musibat par Sabar karta hai to use Ataa wo Rahat ki Khushkhabri dijati hai.
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Sadqa ALLAH TAALA ke Gazab ko thanda karta hai aur buri mout se Mahfooz rakhta hai.
(Sahih Muslim,hadith no:263)
- Apne maamlat me un logon se mashwara lo jo ALLAH TAALA se Darte hai.
(Hazrath Syeduna Umar e Farooq Raziallahu taala anhu)
- Ilm ki misaal samandar jaisi hai chahe jitna bhi kharch karo kam nahi hoga.
(Hazrath Sirri Saqati rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
ALLAH TAALA Farmata hai:
Jab mera banda mujhe yaad karta hai aur uske hont meri yaad me hilte rehte hai to main uske saath hota ho.(Sunan e Ibne Majah)