- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Tum apne musalman bhai se jhagda mat karo, aur na us se aisa mazaq karo jo jhagde ka sabab bane,
Aur na usse aisa wada karo jisko tum pura na karsako.
(Jame Tirmizi,hadith no:1995)
- Gussa zabt karne se kahi zyada behtar hai ke maaf kardiya jaye.
(Hazrath Nizam Uddin Awliya rahmatullah alaih)
- Sab se zyada namaz ka sawaab us shakhs ko milega jo sab se zyada paidal chal kar aaye,
Phir us se zyada sawaab us shakhs ko milega jo us se zyada dur se chal kar aaye.
(Sahih Bukhari,hadith no:651)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Beshak Sadqa qabar se garmi ko dur kardeta hai, aur wo shakhs qayamat ke din apne sadqe ke saaye me hoga.
(Al Moujamul Kabeer,hadith no:788)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo ALLAH TAALA se Dua na mange, ALLAH TAALA usse Naraz hota hai.
(Sunan e Ibne Majah,hadith no:707)
- Insanon ke dil ko takleef na do, ye gunah me shumar hoga.
(Hazrath Mujaddide Alfe saani rahmatullah alaih)