Sahih Muslim

Abu Hurairah Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya:

“Aaj tum mein se kaun Rozedar hai” ?
Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ne kaha ” Main”

Phir farmaya “Aaj ke din tum mein se kaun Janazey ke saath gaya”?
Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ne kaha “Main”

Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya” Aaj ke din tum me se kisne Miskeen ko khana khilaya” ?
Toh Abu Bakr Radi-Allahu-Anhu ne kaha “Mainey”

Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya “Aaj ke din kisne beemar ki ayadat ki” ?
Abu bakr Radi-Allahu-Anhu ne kaha “mainey”

Tou Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya:
Jismein Ye Sab Baatein ( Ek Saath) Jama Ho Jaye Tou Wo JANNATI Hai..

(Sahih Muslim, Vol 6, 6182)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *