- Jis ne 5 namazon ki Hifazat ki usko ALLAH TAALA 5 Baten ATAA farmayega:
1) MOUT ki saqti se NAJAAT
2) QABAR ke Azaab se REHAYI
3) HASHR ke din Naam e Aamaal ka DAHINE HAATH (yane right hand) me milna
4) PUL SIRAT par se bijli ki tarah GUZAR JANA
5) BILA HISAAB JANNAT me DAKHIL hona.
(Mawaa’iz e Hasana ,vol:01,pg:353)
- Allah Taala Tamaam gunahou me se jis qadar chahe maaf kardega siwye waliden ki nafarmani ke kyun ke wo waliden ki nafarmani karne wale ko mout se pehle zindagi hi me saza deta hai.
(Shubul Iman Lil Baihaqui,Hadith No:7506)
- Jo shakhs Dunya me TAQWE ka tosha tayyar karta hai wo uske liye Aakhirat me Faidamand hoga.
(Al Moujamul Kabeer,Hadith no:2222)
- Jo Banda bhi Raat ko ba Wazu soye phir Raat me Achanak uski Aankh khule to us waqt wo Dunya ya Aakhirat ki jo cheez bhi maangega ALLAH TAALA use zaroor Ataa farmayege.
(Sunan e Ibne Maajah,Hadith No:3881)
Related Link:
Sahih Muslim
Hadith Sahih Muslim