HUZOOR E AKRAM ﷺ ne apne chacha hazrat abbas رضي الله عنه ko is namaz ki targheeb farmayi, is namaz k padhne se ALLAH TA’ALA padhne waley k agley pichle, naye puraney, ghalti se aur jaan boojh kar kiye huye chote badey aur zahiri aur poshida sab gunah bakshdega
Aur HUZOOR E AKRAM ﷺ ne inhey farmaya k agar har roz ek baar padh sakey to har roz padhle aur agar har roz nahi padh sakey to har jumu’a me ek martaba padhle aur agar har jumu’a me bhi na padh sakey to har mahine me ek baar padhley aur agar ye bhi na kar sakey to har saal me ek martaba padhley aur agar ye bhi na kar sakey to tamaam umr me ek dafa padhley.
(ABU DAWOOD, IBNE HAKI, IBNE MAAJA)
TARIQA:
Is namaz ki tasbeeh, سبحان الله والحمدلله ولااله الاالله والله اكبر.
Chaar rakaat salatul tasbeeh ki niyaat se chaar rakaat ek salaam se padhey.
Sana padhne k baad اعوذ بالله من الشیطان الرجیم aur بسم الله الرحمن الرحيم se pehle 15 martaba tasbeeh padhey (jo upar di gayi hai).
Ab SURAH FATEHA AUR KOI BHI SURAH padhne k baad yahi tasbeeh 10 martaba padhey, phir takbeer ALLAHU AKBAR kehte huye ruku me jaye aur ruku me سبحان ربى العظيم kam az kam 3 martaba padhne k baad 10 martaba tasbeeh padhey.
Ab ruku se khade hokar سمع الله لمن حمدة, ربنا لك الحمد keh lene k baad phir yahi tasbeeh 10 martaba padhey.
Sajde me سبحان ربى الاعلى kam az kam 3 martaba padhne k baad yahi tasbeeh 10 martaba padhey aur sajde k baad jalse me yaani khaedey me baethne per 10 martaba padhey phir sajde me jaye tab bhi 10 martaba padhey, is tarah ye tasbeeh 1 rakaat me 75 martaba padhi jayegi.
Isi tarah har rakaat me ye tasbeeh 75 martaba padhte jaye, yaad rahe k SUREH FATEHA se pehle ye tasbeeh 15 martaba padhni hai aur baqi har rukun me 10 martaba padhni hai lekin tashahud padhne k liye jab baethe tab ye tasbeeh nahi padhi jayegi.
Ye tasbeeh 4 rakaat me 300 martaba padhi jayegi.
NOTE:-
AFZAL HAI K IN SABHI IBADATO SE BADHKAR APKI FARZ NAMAZEY HAIN JO AB TAK KI KHAZA HOGAYI HAIN WO PADHEY K MARNE K BAAD FARZ NAMAZ KA SAWAAL HOGA NA K NAWAFIL KA SAWAAL HOGA
Related Link:
Tasbih
mai ne namaz to padhi magar jalse me bhi 10 baar tasbeeh padh li kya namaz sahi hui ya nahi
Allah pak aapki Namaaz khubool kare, I will update you on this Insha-Allah soon
Update fast the reference.. of salatultasbih namaj…. i will wait …
(السلام عليكم) Here is the reference on SALATUL TASBEEH KI FAZILAT O TARIQA,(Sunan Ibn Majah, Pg. No. 99)
Click Here, for more : http://ahlesunnatuljamaat.com/how-to-offer-salaat-ut-tasbeeh/
theesre rakat me sanaa padna hai kya..
(السلام عليكم), sanaa pehli rakaat me padhna hai jaise ke ham 4 rakaat namaz pahda karte usi tarha Chaar rakaat salatul tasbeeh ki niyaat ek salaam se ada kare.
As salamu Alyekum,
Sanaa sirf pheli rakat me padhe jaaygi.
Asalam o alikum,
aghar tasbah me koi ghalti hu jay yeh bhol jaye tu sajda sehwa lazam hu jata hai yeh tasbah ko phir parna hai
waleku salam ,
Sajda Sahu sirf farz or wajib namaz me kijaati hai , nawafeel nazam me nahi.
Kisi ko namaz padhni nahi aati hogi to kya ye namaz do log sath mein padh sakte hain kya
Yes, you can pray the Namaz Ba’Jamaat
As salamu Alyekum,
Sawal : Kisi ko namaz padhni nahi aati hogi to kya ye namaz do log sath mein padh sakte hain kya?
Jawab: Salat ul Tasbeeh ke masaeel,
1. Salat ul Tasbeeh do log ya do se ziyad ki jamaat kijasakti hai.
2. Salat ul Tasbeeh namaaz me TASBEEH yani ( Kaleema Tamjeed Padhe jayegi , agar na padhi to namaz nahi hogi)
3. Salat ul Tasbeeh namaaz me muqtadi ke liye lazim hai ke wo TASBEEH padhe.
4. Salat ul Tasbeeh namaaz me agar galti ( mistake ) hojaye to namaaz dohrani padegi ( phir se padhi jayegi).
5. Do log ki jamaat me IMAM sari namaz qirat se padhe or tasbeeh bhi awaaz se padhe ke isse muqtadi ko tasbeeh padhne me madaad miljayegi or usshe bhi sari naamaz ka sawab melega.
Jazak Allahu Khair.
Ahlesunnatuljamaat.com
Besak Nmaz musalman par farz h aur Nmaz ke sath maa – baap ka khidmat bhi jaruri h Allah Hafiz
Allah ka shukaar hai mainey bahut martaba padliya allah paak sey dua karo ki mujh jaise gunahgar ko maaf karne key liye mere bhaiyo aur baheno…shukriya…..
Tasbeeh namz ja ziada sawab jamat k sath hai ya aekly parne me.
Assalaam aliakum,
Sawab toh utna hi hai aapko, ya jamaat ke saath padhe ya phir aakele.
JazakAllah
Team Ahlesunnatuljamaat.com