- SHAB E BARA’AT KI NAMAZ:HAZRATH ALI Raziallahu taala anhu ne farmaya:Main ne HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ko SHABAN ki 15 Wi raat Qiyaam farma dekha aur Aap ne 14 RAKAAT NAMAZ ADA farmayi,
Phir Namaz se farigh hone ke baad Aap tashreef farma rahe aur 14 Martaba SURAH FATEHA,
14 Martaba SURAH IKHLAAS,
14 Martaba SURAH FALAQ,
14 Martaba SURAH NAAS,
AUR Ek martaba AYATAL KURSI
AUR SURAH TOUBA ki Aayat 128 (Laqad jaa’akum Rasoolum…..) Tilawat farmayi….Jab HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam Apni Dua se farigh hue to main ne Is Amal e Mubarak ke baare me daryaaft kiya jo main ne dekha:
To HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Jo koi shakhs istarah amal karega jis tarah tum ne dekha hai to us shakhs ke liye 20 maqbool haj aur 20 Saal ke Maqbool Rozou ka Sawaab likha jayega..
Agar wo us din (yane 15 shaban ko ) Roza rakhega to uske liye 2 saal guzishta aur Aainda saal ke Rozou ka sawaab likga jayega….
(Baihaqi ,Shubul Imaan , Hadith no:3683)
- Jo shakhs Is Raat (Shab e Baraat ) ko 100 Rakaat Padhe ALLAH TAALA uski taraf 100 farishtou ko bhaijhta hai, 30 usko Jannat ki khushkhabri denge,
Aur 30 Dozaq ke Azaab se be khouf karinge,
Aur 30 Afaat e duniyawi ko is se dur karinge,
Aur 10 farishte, shaitani fareeb se iski Hifazat karinge…(Roohul Bayaan ,vol :8 ,pg:448)