- Hazrath AYESHA SIDDIQA raziallahu taala anha ne farmaya:
HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
Kya tum janti ho ke is raat yane shab e baraat me kya fazail hai ?
Aap raziallahu taala anha ne arz kiya :
YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam iski shaan kya hai ?HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Is Raat me pure saal me jo Aoulaad e Aadam paida hone wale hai wo likh diye jate hain ,
Aur saal bhar me jo halaak hone wale hain wo bhi likh diye jate hai ,
Aur isme logon ke amaal Rab ke huzor pesh kiye jate hai ,
Aur unke Rizq utare jate hain.
(Miskatul Masabeeh ,vol :1, pg :114)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Shab e baraat me ALLAH TAALA bandou par Maghfirat wo Rahmat ki Tajalli farmata hai, 2 gunahgaar Kina parwar aur qatil ke siwa saare gunahgaron ko maaf farmadeta hai.
(Musnad e Imaam Ahmed, hadith no:6801)