Shab – E – Barat ki Namaz

namaz

Imaam Gazali Rahmatullah alaih farmate hain :

Shab e Baraat me 100 rakaat padhe har 2 rakaat par salaam phere aur surah fateha ke baad surah Ikhlaas 10 baar padhe ,

Aur agar chahe to 10 rakaat padhe aur har rakaat me surah fateha ke baad surah Iklaas 100 baar padhe ,
Ye namaz bhi HAZRATH NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam se marwi hai ,

Salf Saliheen is namaz ko shab e baraat me adaa karte aur isko Salaat ul Khair kehte hain ,

Hazrath Hasan Basri Rahmatullah alaih farmate hain:
Mujhe 30 SAHABA EKRAAM (raziallahu anhum ) ne bataya ke jo shakhs ye namaz is raat me padhe ALLAH TAALA uski taraf 70 baar nazar e rahmat farmata hai aur har nazar ke sadqe me 70 hajaten puri farmata hain unme se Adna Hajat gunahon ki maghfirat hai…

(Roohul Bayaan ,vol:8,pg:448)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *