Subhanallaahil Azeem wa bihamdihi

Subhanallahi Wa Bihamdihi Subhanallahil Azeem
  • NABI E KAREEM Sallallahu aliahi wasallam ne irshaad farmaya:Jis ne “Subhanallaahil Azeem wa bihamdihi ” padha uske liye jannat me khajoor ka darkhat lagaya jata hai.(Jame Tirmizi,Hadith No:3464)

    Subhanallaahil Azeem wa bihamdihi

  • Aur namaz ki taraf har qadam chalna sadqa hai…..(Sahih Bukhari,Hadees no:277)
  • Zohar se pehle 4 rakaat jinke darmiyaan salaam na ho, unke padhne walaou ke liye aasmaan ke darwaze khool diye jate hai.(Sunan e Abu Dauood,Hadees no:1270)
  • Jo Shakhs Ilm e deen duniya ke liye hasil karega, uski barkat se mahroom rahega.(Hazrath Imaam e Azam rahmatullah alaih)
  • Ek Martaba NABI E KAREEM Sallallahu alahi wasallam ek baagh me tashreef legaye, waha ek unt khada tha,HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke didaar karte hi wo bilbilane laga uski aankhen aansu se bhar gayi,HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam uske qareeb jaakar uske sar par haath phere to wo chup hogaya,

    HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ye kiska unt hai?

    TO ek Noujawan Ansari Sahabi aaye,

    Aap Sallallahu aliahi wasallam ne unse farmaya:
    kya tum janwaron ke baare me ALLAH se nahi darte? jinko ALLAH ne tumhara tabe banaya hai,

    us unt ne shikayat ki hai ke tum usko bhuka rakhte ho aur takleef dete ho.

    (Sunan e Abu Dawood,Hadith no:2549)

     

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *