- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
2 kalime aise hain jo zubaan par halke hain, mizaan me bhaari hain, RAHMAN ko pyaare hain,
SUBHANALLAHIL AZEEM
SUBHANALLAHI WA BIHAMDIHI.
(Sahih Bukhari, hadith no:2718) - NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Har shakhs ka hasr usi ke saath hoga jis se usne Mohabbat ki hogi.
(Jame Tirmizi,hadith no:2386)
- Jisne ALLAH TAALA ki Ita’at me zindagi guzari wo maqlooq me afzal hai.
(Hazrath shams uddin rahmatullah alaih)
- Hazrath Jaber bin Sumrah raziallahu taala anhu farmate hain:
Jab NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne mere Rukhsaar ko chuwa to Main ne HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam ke Dast e Aqdas me aisi thandak aur khushboo paayi jaise abhi AAP Sallallahu alaihi wasallam ne (Attaar ) ke dabbe se apna Dast e Aqdas nikala ho.
(Sahih Muslim)
- HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Beshak ALLAH TAALA ka ek farishta hai jiske 2 par hain, ek mashriq aur dusra maghrib me,
Jab koi banda mohabbat bhare andaz me mujh par durood bhaijhta hai to wo paani me gouta lagata hai phir apne par jhaadhta hai,
To ALLAH TAALA uske har qatre se ek farishta paida farmata hai jo mujh par Durood padhne wale ke liye qayamat tak istighfaar karta rahega.
(Al Qawl Ul Badee,pg:213)