Sunnah Hadith

sunnah hadith

* Hazrath Abdullah bin umar raziallahu taala anhuma farmate hain:
Ek din HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam Masjid me tashreef laaye,
Hazrath Abu Bakar Aur Hazrath Umar (raziallahu taala anhuma) ek dayen janib the aur dusre bayen janib the,
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam Aap donou ke haath pakde hue the,
Aap ne irshaad farmaya:
HUM QAYAMAT KE DIN ISI TARAH UTHENGE.
(Jame Tirmizi,vol:2,pg:230)

* NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Main ne ALLAH TAALA se maroza kiya ke qayamat ke din Usman (raziallahu taala anhu) ko hisaab ke liye khada na kare, to ALLAH TAALA ne unke haq me meri sifarish qubool farmali.
(Kanzul Ummal,Hadith no:33095)

* ALLAH TAALA ka irshaad hai:
Aye Habib (sallallahu alaihi wasallam)! Hum baar baar aapke Rukh e Anwar ka Aasman ki taraf palatna dekh rahe hain,
Hum zaroor ba zaroor Aapko usi qible ki taraf phair denge jis par Aap Raazi hai.
(Surah Al Baqarah:144)

Related Link:
Hadith of the Quran and Sunnah
Sunnah

 

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *