- Hazrath Muhaddis-E-Deccan,Abul Hasanaath, Syed Abdullah shah Naqshbandi Mujaddidi wo Quadri ,Rahmatullahi ta’la alay itne bade Allama hain ke ALLAH TAALA ne aapko aisa Ilm Ataa farmaya hai ke Aapke ilm ka kya kehna !
Jab Aap farig ut tehseel hue (yane aapki Talimi course khatam hua) to Aapke Walid e Majid Hazrath Syed Muzaffar Husain shah naqshbandi mujaddidi wo qadri rahmatullah alaih apne sahebzade ko Ulama ki majlis me pesh kiye,
aur tarruf karwaya ke ye mera farzand hai farigut tahsel hochuka hai Aap hazrath Imtehan len !
Isha ki namaz ke baad Majlis e Ahle ilm ne Aapse farmaya ke kisi ek aayat ki tafseer bayan kare:
Hazrath muhaddis e deccan rahmatullah alaih ne Surah Al Fajr ki sirf ek aayat ” wal fajr ” (qasam hai subah sadiq ki ) tafseer bayan karna shuru farmaye to isha ki namaz ke baad tafseer shuru farmaye to Tahajjud tak bayaan farmate rahe…
SUBHANALLAH
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Uhad wo pahadh hai jo humse mohabbat karta hai aur hum usse mohabbat karte hai.
(Sahih Bukhari,Hadees No:4083)
- Ek daana HALAAL ka dunya bhar ke HARAAM maal se AFZAL hai,
Isliye ke HALAAL paak wo maqbool hai, aur HARAAM napaak wo mardood…(Hazrath Muhaddis e Deccan Rahmatullah Alaih)