Surah e Ikhlaas 10 Martaba Padha

سورة الإخلاص
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne isrshaad farmaya:

    Jise ye pasand ho ke ALLAH TAALA ki baargah me pesh hote waqt ALLAH TAALA us se raazi rahe to use chahye ke Mujh par kasrat se Durood shareef padhe.

    (Firdous ul Akhbaar,Hadith no:6083)

  • Neik Log apne anjaam se khoufzada nahi hote.

    (Hazrath Syeduna Imaam Husain raziallahu taala anhu)

  • Aur ALLAH bahut bade FAZAL wala hai.

    (Surah Al Juma:4)

  • Jisne 10 martaba Surah e Ikhlaas padha, ALLAH TAALA Jannat me uske liye ek mahel banata hai.

    (Musnad Imaam Ahmed)

    Surah e Ikhlas

  • Jab tumhari mushkilen badhne lage to samjhlo ke ALLAH tumhe bahut bada inaam ataa farmane wala hai.

    (Hazrath Ali raziallahu taala anhu)

  • Apne aqlaq ko phool jaisa banalo, paas baithne wala kuch hasil na bhi kare to khushboo to hasil karlega.

    (Hazrath Sheik Saadi rahmatullah alaih)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Mashriq wo Maghrib me jo Musalman bhi Mujh par Salaam bhaijhta hai Main aur Mere RAB ke Farishte uske bhaijhe hue salaam ka jawaab dete hain.

    (Hilyatul Aouliya,pg:349)

  • 2 log aise hote hain jinhe insaan kabhi nahi bhulta ek wo jo mushkil waqt kaam aaye aur dusra wo jo mushkil waqt saath chodh de.

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *