Surah Yaseen Raat mein Padhne Ki Fazilat

Surah Yaseen
  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jisne ALLAH TAALA ki raza ke liye raat me Surah Yaseen padha uski maghfirat kardijati hai.

    (Sahih Ibne Hibban,Hadith no:2626)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Main tum me se kisi ki tarah nahi ho mera Rab mujhe khilata aur pilata hai.

    (Sahih Bukhari,hadith no:1825)

  • Sab se zyada namaz ka sawaab us shakhs ko milega jo sab se zyada paidal chal kar aaye,

    Phir us se zyada sawaab us shakhs ko milega jo us se zyada dur se chal kar aaye.

    (Sahih Bukhari,hadith no:651)

  • NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:

    Jannat me dakhil hone ke baad ek pukarne wala jannatiyou ko ye khushkhabri sunayega.

    Tum hamesha zinda rahoge kabhi mout na aayegi,

    Tum hamesha sehatmand rahoge kabhi bimaar na hoge,

    Tum Hamesha jawan rahoge kabhi budhapa na aayega,

    Tum Hamesha khushaal rahoge kabhi pareshani na aayegi.

    (Sahih Muslim,hadith no:7336)

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *