- Hazrath Syeda AYESHA SIDDIQA raziallahu taala anha ke paas ALLAH TAALA ke Rizq me se jo bhi Cheez aati wo usko apne paas roke nahi rakhti balke usi waqt uska Sadqa farmadeti.(Sahih Bukhari , hadith no :3314)
- Hazrath Mosa bin Talha raziallahu taala anhu farmate hain :Main ne Hazrath Syedatuna AYESHA SIDDIQA raziallahu taala anha se badh kar kisi ko faseeh nahi dekha.
(Jame Tirmizi , hadith no :3884)
- Hazrath Syedatuna Ayesha siddiqa raziallahu taala anha farmati hain :Hazrath Jibreel Ameen Alaihissalaam Resham ke Sabz kapde me ( lipti hui ) unki Tasweer lekar HUZOOR NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ki Baargah e Aqdas me Hazir hue aur Arz kiya :
YA RASOOLALLAH ! Sallallahu alaihi wasallam ye Duniya wo
Aakhirat me Aapki Zouja e Mutahhara hain.(Jame Tirmizi , hadith no :3880)
- Hazrath Syeda Ayesha siddiqa raziallahu taala anha ne farmaya :Ek din RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya :
Aye Ayesha ! Ye Jibreel tumhe Salaam kehte hain ,
Main ne Jawaab diya :
Un par bhi salaam ho aur ALLAH ki Rahmat aur Barkaat ho,Likin Aap ( yane RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam ) jo kuch Dekh sakte hain wo hum nahi dekh sakte.
(Sahih Bukhari , Hadith no :3557)