- Syeduna Jaber bin Abdullah Ansari Raziallahu anhu ne farmaya:
main ne Hazrath RASOOLULLAH Sallallahu alaihi wasallam ki qidmat e babarkat me arz kiya:
YA RASOOLALLAH Sallallahu alaihi wasallam! Mere Maa baap Aap par Qurban !
Mujhe batlaye ke ALLAH TAALA ne tamaam cheezon se pehle kis cheez ko paida farmaya?
Aap ne irshaad farmaya:
Aye Jaber ! Beshak ALLAH TAALA ne tamaam kayenaat se pehle tumhare NABI Ke Noor ko Apne Noor se paida farmaya,phir wo Noor Qudrat e Ilahi se jaha chahta tha sair karta raha, us waqt looh thi na qalam, Jannat na Dozaq, Aasmaan na Zameen , Chand na Suraj, aur na Jin na Insaan..
(Al Mawahib Ul Ladunniya,vol.1,pg:89)
- HUZOOR E AKRAM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya
4 chezen tamaam nabiyou ki sunnat hai:
1) Nikah karna
2) Miswaak karna
3) Haya karna
4) Khushboo ka istemal karna.(Jame Tirmizi,hadith no:1080)