Tauba ka khayal khush bakhti ki nishani hai

Hadith
  • NABI E KAREEM صلى الله عليه و سلم  ko aourton me sab se zyada mohabbat HAZRATH SYEDA FATIMA raziallahu taala anha se hai aur mardon me se HAZRATH ALI raziallahu taala anhu sab se zyada mahboob hai.(Jame Tirmizi , hadith no :3868)
  • NABI E KAREEM صلى الله عليه و سلم ne irshaad farmaya:Marizon ki iyadat karo aur janaze ke piche chalo ye tumhe Aakhirat ki yaad dilayega.(Sahih Ibne Hiban,hadith no:3017)
  • Aye Imaan walo! Tum ALLAH ki aur uske RASOOL ki Ita’at karo..(Surah Al-Anfaal:20)
  • NABI E KAREEMصلى الله عليه و سلم  ne irshaad farmaya:Behtaren Musalman wo hai jo be faida chezon ko chodhde.(Jame Tirmizi,hadith no:2487)
  • Tauba ka khayal khush bakhti ki nishani hai kyun ke jo apne gunah ko gunah na samjhe wo bad qismat hai.
  • Mohabbat sab se karo, likin us se aur bhi zyada karo jiske dil me tumhare liye tum se bhi zyada mohabbat hai.(Hazrath Ali raziallahu taala anhu)
  • Ek shakhs Hazrath Hasan Basri rahmatullah alaih ke paas hazir hua aur arz kiya:Meri Rehnumayi farmaye mai raat ke qiyam ki taqat nahi rakhta:Aap ne farmaya:

    Aye mere bhai! Tum ALLAH TAALA se apne gunahou ki touba karo,

    kyun ke Raat ke qiyam ke liye taqat na rakhna burayi ki nishani hai,

    Jab banda gunahon me mubtala hojata hai to ALLAH TAALA use Raat ke qiyam se Mahroom kardeta hai.

Comments

comments

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Enter Captcha *