- Hazrath RIfaa’ah raziallahu taala anhu farmate hain:
Jang- E- badar me meri aankh mein ek ter laga jiski wajeh se aankh phoot gayi,
NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne uspar apna luaab e mubarak lagaya aur Dua farmayi,
uske baad aisa hogaya jaise mujhe koi takleef hi nahi phunchi.
(Baihaqi fi dalailun Nabuwwa,Hadith no:969)
- Teen chezein mohabbat badhane ka zarya hai.
Salaam karna
Dusron ko majlis me jagah dena
muqatab ko behtar naam se pukarna.
(Hazrath Umar e Farooq raziallahu taala anhu)
- Agar tum koi kaam ALLAH TAALA ki raza ke liye karo agarche wo thoda hi kyun na ho, Anqreeb ALLAH TAALA apni kaseer ataa ke saath tum se razi hojayega….
- Din ki Roushni me Rizq talash karo aur Raat ko Rizq dene wale ko talash karo.
(Hazrath Sheik Saadi rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:
Duniya ki mohabbat tamaam burayou ki jad hai.
(Shubul Imaan,hadith no:10501)