- Jis ne Doulat mand ki Izzat ki aur Muflis ko Haqeer samjha to usko ALLAH TA’LA zalil o khar farmadenge.(Hazrath Hasan Basri rahmatullah alaih)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam se Aoouliya Allah ke bare me pucha gaya to Aap ne Irshaad farmaya:Wo log jinhe dekhne se ALLAH yaad aajaye.(wo aouliya Allah hain).(Sunan e Nasai,hadith no:11235)
- Hazrath Abdullah bin Abbas raziallahu taala anhuma farmate hain:HUZOOR Sallallahu alaihi wasallam logon me sab se zyada Saqawat farmane wale hain.(Sahih Bukhari,hadith no:6)
- NABI E KAREEM Sallallahu alaihi wasallam ne irshaad farmaya:Tum ALLAH se uski nematon ki wajeh se Mohabbat kiya karo, jo usne tum par ki hai aur ALLAH ki Mohabbat ki wajeh se Mujh se Mohabbat karo aur Meri Mohabbat ki wajeh se Mere Ahle Bait se Mohabbat karo.(Jame Tirmizi,hadith no:3789)
- Jab banda darguzar aur maaf karta hai to Uske nafs ko rahat milti hai aur uske dil sukoon wo itmenan naseeb hota hai aur ALLAH TA’LA ke nazdeek baland darja paata hai.